Bechain

Bahut bechain, bahut betaab hai hum;
Bahut bekaraar, bahut talabgaar hai hum

Aaj ki raat neend nahi aayegi
Aaj ki raat karwaton mein guzar jaayegi,
Silwaton mein subah gin lenge murjhaaye hue khwaab,
Aaj ki raat to masalne mein guzar jaayegi
Hamari tishnagi ka koie dariya nahi
Hamari mushqilon ka koie zaria nahi
Subah roshni ki barsaat hogi magar,
Aaj ki raat to kale sehre mein jaayegi
Kyun bechain kyun betaab hai hum
Kyun bekaraar kyun talabgaar hai hum

Ik hasrat hai dil mein
Ik chaah zahan ki
Paak ke jaise ho duaayen
Khaalikh par usme gunaahon si
Dil ke daayaron ko baandh diya
Armaanon ki rawaani ko rok diya
Khwashiyon ko humne dafn kiya
Bas jee rah ik zindagi si
Bejaan ruh ki dhadkan si
Is liye bechain, is liye betaab hai hum
Is liye talabgaar, is liye bekaraar hai hum

Leave a Reply


-->